Bachpan me un chotti khidkiyo se dekha hu vo bada sapna shyad sabse haseen sapne the, kyuki us samay na he paro me bediya thi or na he jamane ka dar tha.
Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me tension ka jahaan naam nahi, or maarna masti din bhar mummy roj daatati fir bhi, pahunchana dress gandi karke ghar kal pet dard, aaj kaan dard, ab kal toh hai mama ke jaana home work poora kiya nahi, fir khojna roj naya bahaana, recess me khelne ke liye, periods me hi poora lunch kha jana chhupam chhupai khelne ke waqt, baar-2 dame khud par hi aana dus rupya ki pocket money bhi, lagti thi jaise apaar aajkal toh kam hai padte, chahe jeb me pachaas hajaar Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me Aaj sochta hun mai yahaan, ki laut ke aa jayen woh din kyun bada hota hain insaan, kyun nahi rahta hamesha woh bachpan na koi soch, na koi tension, naa hi jivan ki koi uljhan simple plain ek life ho, umar chahe fir ho jaye pachpan milega mauka woh din fir jeene ko, ab kahta hai yahi mera mann suna hai maine ki budhape me, fir se laut aata hai bachpan me.